Wednesday 5 August 2015

TEHRAN ME MASJID KO SHAHEED KIYE JANE KI KHABAR AFWAH.

India Me Muslim Maulanao Ki Sabse Badi Committee Majlise Ulemae Hind Ne Iran Ke Capital Tehran Me Kisi Bhi Masjid Ki Shahadat Ki Khabar Ko Galat Thehrate Hue Aisi Kisi Bhi Khabar Ko Afwah Bataya Hai.

India Ke State Uttar Pradesh Ke Capital Lucknow Me Majlise Ulemae Hind Ki Ek Emergency Meeting Hui, Jisme Desh Ke Kuch NewsPaper Ki Taraf Se Tehran Me Ahle Sunnat Musalmano Ki Masjid Shaheed Kiye Jaane Ki Khabar Ko Publish Kiye Jaane Ke Maamle Par Discussion Kiya Gaya.

Majlise Ulemae Hind Ke 7 Members Ulema Committee Ne Newspaper Me Publish Uss Khabar Ko Afwah Bataya Jisme Kaha Gaya Hai Ki Iran Ke Capital Tehran Me Ahle Sunnat Musalmano Ki Ek Masjid Ko Shaheed Kar Diya Gaya Hai.

Majlise Ulemae Hind Ki Meeting Me Shaamil India Ke Bade Maulanao Ne Aisi Afwah Phailane Walo Ko Kade Shabdo Me Ninda Karte Hue Kaha Ki Aisi Afwah Saudi Aur Israeli Agent hi Phailate Hai.

Majlise Ulemae Hind Ki Aur Se Jaari Bayaan Me Ye Kaha Gaya Hai Ki Tehran Me Ahle Sunnat Ki Kisi Masjid Ko Shaheed Nahi Kiya Gaya Hai Aur Islamic Republic Of Iran Government Ko Badnaam Karne Ke Liye Afwah Phailayi Jaa Rahi Hai, Jabki Sacchai Ye Hai Ki Aisa Kuch b Nae Hua Hai.

Meeting Me Shaamil Sabhi Maulanao Ne Aise Baseless News Aur Afwaho Par Bayanbazi Karnewalo Ki Bhi Kade Shabdo Me Ninda Ki Hai Aur Kaha Ye Log Us Samay Kaha The Jab Bahrain Me 40 Se Zada Masjido Ko Shaheed Kiya Gaya Aur Yemen Me Lagatar Masjido Par Bomb Barsaye Jaa Rahe Hai.

Majlise Ulemae Hind Ne Bayanbazi Karne Wale Logo Ko Question Kiya Ki Jab Saudi Arab Me Masjide Radde Shams, Masjid E Hazrat Bilal, Masjid E Salman Farsi Ko Shaheed Kiya Gaya Tha Tab Wo Log Kaha The Aur Kisi Ne Bhi Koi Bayaan Nahi Diya Tha.

Meeting Me Shaamil Maulanao Ne Kaha Ki Aise Log Israel Aur Saudi Arabia Ke Ishaare Aur Islamic republic of Iran Ki Dushmani Me Galat Aur Baseless Khabro Par Bayanbazi Karne Ke Liye Saamne Aa Jate Hai.

Lucknow Me Majlise Ulemae Hind Ki Organized Meeting Me Maulana Raza Hussain, Maulana Tasneem Mehdi, Maulana Iftekhar Inquilaabi, Maulana Firoz Hussain, Maulana Hasan Jaffer, Maulana Shabab Haider Aur Kai Muslim Maulanao Ne Hissa Liya.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77273

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment