Thursday 2 July 2015

YEMEN PAR SAUDI HAMLE ME USA BHI SHAMIL.

Human Rights Watch Ne Yemen Ke Khilaf Saudi Arab Ke Hamle Me USA Ke Shamil Hone Ka Ilzam Lagaya Hai.
Is Institution Ke Mutabik, Washington Saudi Arab Ke Illegal Hamlo Ke Liye Indirectly Responsible Hai Kyunki Wo Yemen Ki Aur Border Ke Andar Saudi Fighter Planes Ko Fuel Ka Supply Aur Yemen Me Saudiyo Ke Public Points Ko Target Banane Me Intelligence Madad De Raha Hai. Institution Ne USA Se Yemeni Public Par Saudi Hamlo Ke Trasdipurn Anjam Ki Investigation Karane Ki Demand Ki Hai. Human Rights Watch Ne Kaha Ki Saudi Arab Ne Yemen Me Gharo, Bazaro Aur Schools Ki Tabahi Aur Common Logo Ko Ek Saat Khatm Karke Shayad Jung Ka Jurm Kiya Hai. Is Institution Ne Issi Tarha Yemen Ki Sea Aur Air Nakabandi Ki Criticized Ki Hai.
Human Rights Watch Me North Africa Aur Middle East Ke Mamlo Ki Responsible Sara Washington Ne Kaha, "Aisa Lag Raha Hai Ki Saudi Arab Ne Ye Hamle Karke Ladai Ke Kanun Ka Serious Tarike Se Ulandhan Kiya Hai Jiski Sahi Investigation Honi Cahiye." Human Rights Watch Ne 6 Se 11 April Ke Beech Saudi Arab Ke Yemen Par 10 Air Attack Ki Report Published Ki Hai Jisme 14 Aurto Aur 35 Baacho Ke Saath 59 Log Halak Hue. Ye Report Aisi Halat Me Samne Aayi Hai Ki. Isse Ek Din Pehle UN Ke Secretary General Ban Ki - Moon Ne Aden Par UN Ki Ek Building Par Sunday Ko Saudi Arab Ke Hamle Ki Condemned Ki. Is Hamle Me UN Ki Building Ko Bahut Nuksan Pahunca.
For Reference. http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76134
Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment